Tuesday, April 2, 2019

Zindagi ek safar

Zindagi ek safar hai,  Hame chalna padega
Jaise bhi ye dagar hai, Hame chalna padega. 

Chahe lakh muskile ho, Raste bhi jahrile ho,
Aandhi bhi aajaye, Chahe raat nashile ho,
Bnke jharna parvato se 
Hame bahna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega.

Gum mile, ya pyar ki barsat ho
Mile chahe dhokha, ya kisi ka sath ho
Banke badal aasmaan par
Hame garajna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega. 


Thahrna hai kabhi, kabhi chalna hai
Milna bhi hai, kabhi bichhdna hai
Bhul kar gile sikve ko
Hame udghosh naya karna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega. 

yadon ki kasti lekar
jine ki masti lekar,
Musaafir yun akela
chahat ki hasthi lekar,
Hame kaanto me bhi, aise chalna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega
Jaise bhi dagar hai hame chalna padega. 

Written and published by
Dev Chakradhari.


2 comments: