Thursday, April 4, 2019

ऐ खुदा

Aye khuda tu hi bata
Kab tak rahega mujhse khata

Panchhiyo ne gana chhod diya
Dil ne bhi muskurana chhod diya
Lagta to aise hai jaise
Bhawre, phulo me mandrana chhod diya
Aur nahi sahi jati ab
Yun aise na hame sata
Aye khuda tu hi bata
Kab tak rhega mujhse khata.


Hame dekh kar ab to
Ye badal bhi barste hain
Aalam to aisi hai jaise
Macchli bin pani ke taraste hain
Insaan ko patthar banakar
Humdardi aise na jata
Aye khuda tu hi bata
Kab tak rahega mujhse khata.


Ab to rukh mod liya hai
Bahte in hawaon ne
Sham bhi gumgin kar gai
Mausam ki ghataon ne
Milne ki chahat hai tumse
De de tu apna pata
Aye khuda tu hi bata
Kab tak rahega mujhse khata.


Written by
Dev Chakradhari





Tuesday, April 2, 2019

Zindagi ek safar

Zindagi ek safar hai,  Hame chalna padega
Jaise bhi ye dagar hai, Hame chalna padega. 

Chahe lakh muskile ho, Raste bhi jahrile ho,
Aandhi bhi aajaye, Chahe raat nashile ho,
Bnke jharna parvato se 
Hame bahna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega.

Gum mile, ya pyar ki barsat ho
Mile chahe dhokha, ya kisi ka sath ho
Banke badal aasmaan par
Hame garajna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega. 


Thahrna hai kabhi, kabhi chalna hai
Milna bhi hai, kabhi bichhdna hai
Bhul kar gile sikve ko
Hame udghosh naya karna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega. 

yadon ki kasti lekar
jine ki masti lekar,
Musaafir yun akela
chahat ki hasthi lekar,
Hame kaanto me bhi, aise chalna padega
Zindagi ek safar hai hame chalna padega
Jaise bhi dagar hai hame chalna padega. 

Written and published by
Dev Chakradhari.